Popular Posts

Friday, February 9, 2007

pyaar ki chemistry

Na Ye Chemistry Hoti , Na Main Student Hota
Na Ye Lab Hoti, Na Ye Accident Hota
Abhi Practical Mein Aayi Nazar Ek Larki
Sundar Thi Naak Uski Test Tube Jaisi

Baton Mein Uski Glucose Ki Mithas Thi
Sanson Mein Ester Ki Khushbu Bhi Sath Thi
Aankhon Se Jhalakta Tha Kuch Is Taranh Ka Pyaar
Bin Piye Hi Ho Jata Tha Alcohol Ka Khumar
Benzene Sa Hota Tha Uski Presence Ka Ehsas

Andhere Mein Hota Tha Radium Ka Abhas Nazrein Mileen,
Reaction Hua Kuchh Is Taranh Love Ka Production Hua
Lagne Lage Us Ke Ghar Ke Chakkar Aise
Nucleus Ke Charon Taraf Electron Hon Jaise
Us Din Hamare Test Ka Confirmation Hua
Jab Uske Daddy Se Hamara Introduction Hua
Sun Kar Hamari Baat Woh Aise Uchhal Pari

Ignition Tube Mein Jaise Sodium Bharak Uthi
Woh Boli, Hosh Mein Aao, Pahchano Apni Auqat
Iron Mil Nahin Sakta Kabhi Gold Ke Sath
Ye Sun Kar Tuta Hamare Armanon Bhara Beaker
Aur Hum Chup Rahe Benzaldehyde Ka Karwa Ghoont Pi Kar
Ab Us Ki Yaadon Ke Siwa Hamara Kam

No comments: